Sunday, November 1, 2009

Maza Liya Kar Shukr Ada Kiya Kar Ae Ibn E Adam....

Azan sunke maza liya kar, shukr ada kiya kar ae adam
Us se puch jo sun nahi sakta, k woh tarasta rehta hai sunne ko
( A man who can't hear)

Masjid dekh k maza liya kar, shukr ada kiya kar ae adam
Us se puch jo dekh nahi sakta, k woh tarasta rehta hai dekhne ko
( A man who can't see)

Namaz padhke maza liya kar, shukr ada kiya kar ae adam
Us se puch jis ko namaz naseeb na huwi, k woh tarsata rehgaya padhne ko
( A non-believer who accepted islam just before his last breath)

Takbeer karke maza liya kar, shukr ada kiya kar ae adam
Us se puch jis ki bazu hi nahi, k woh tarasta rehgaya takbeer karne ko
( A man without arms )

K hath bandh kar maza liya kar, shukr kiya ada kar ae adam
Us se puch jis k hath hi nahi, k woh tarasta rehgaya hath bandhne ko
( A man without hands )

K ALLAH ka kalam padhke maza liya kar, shukr ada kiya kar ae ibn e adam
Us se puch jis ko padhna na aya, k woh tarasta rehgaya padhne ko
( A man without tongue)

K sar jhuka ke maza liya kar, shukr ada kiya kar ae ibn e adam
Us se puch jo jhuk nahi sakta, k woh tarasta rehta ALLAH ki bargah main jhukne ko
( A man suffering from spinal cord fracture)

K uth kar maza liya kar, shukr ada kiya kar ae ibn e adam
Us se puch jo khada nahi ho sakta, k woh tarasta rehgaya khada hone ko
( A man without legs)

K sajde ka maza liya kar, shukr ada kiya kar ae ibn e adam
Us se puch jo jhuk nahi sakta, k woh tarasta rehta sajde mein jhukne ko
( A man suffering from neck prb).

No comments:

Post a Comment